Friday, December 2, 2011

ADIL KHAN



Apne dil ki baat unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi ji nahi sakte
Aie khuda aisi taqdeer bana ki vo khud aakar kahe
Hum aapke bina rah nahi sakte…

kush naseeb hi hum
hume aap jaise dost mile
kya taarif kare aapki
gitna b kare utna kam lagtha
my chiraag hotho tum roshni ho
my gulab hotho tum khushbu ho
my raat hotho tum chand ho
iss pyasi baari zindigi me paani bankar aaye ho tum
mushkil hon k waqt me haat taam kar himmat dethe ho aap
doop me chaya bankar hamesha saat rythe ho aap
kabhi aane na diya aankhome aansu
jab se tumhe mila tab se chehre pe muskurahat phir laut aayi
hai mere dost “wada kartha hu my..kuch bhi hojaye my tere saath na chodunga”….
Ek Umer ke Baad Us ko Dekha
Aankhon Main Sawaal Thay Hazaron

Honton pe Magar Wohi Tabbassum
Chehrey pe Likhi hui Udasi

Awaaz Main Goonjti Judai
Main Kaise Shajar Se Katee Raah Tha

Woh Ponch Raha Tha Aansoo Merey
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thi…
Socha Tha Ki Hum Tumhe Toot Kar chahenge
Tumko Chaha Bhi Bahut Aur Hum Toote Bhi Bohut
Socha Tha Ki Hum Khushbu Bankar Rahenge
Hum Mehke Bhi Bahut Aur Bikhre Bhi Bahut
Socha Tha Ki Hamesha Tumhare Dil Me Rahenge
Dil Toota Aur Mere Armaan Nikle Bhi Bahut
Socha Tha Ki Tumse Pyar Karna Sikh lenge
Aur Humne Tumhara Naam Kagaz Pe Likha Bhi Bahut..

Na sawaal banke mila karo,
Na jawaab banke mila karo,
Meri zindagi mera khwaab hai,
Mujhe khwaab banke mila karo…
Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?

Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?

Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?

Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?

Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.

Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?

Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?

To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?

No comments:

Post a Comment